makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2023 date 2023
urs makhdoom ashraf
Har saal urdoo ki 28 tarikh 28 muharram ko manaya jata hai es saal bhi badi dhoom dham se urs e makhdoom ashraf kichocha sharif manaya jaa raha hai
urs makhdoom ashraf |
Hazrat Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Makhdoom Sultan Syed Ashraf Jahangir Simnani
HAZRAT GAUS UL AALAM MEHBOOB E YAZDANI MAKHDOOM SULTAN SYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI ALAIHIR RAHMA KI SO ( 100 ) SAALA HAYAT E MUQADASA PAR EK IJMALI NAZAR
Walid Majid ka Name Mubrak :
Sultan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Samani ( King Of Simnan Iran )
Walida Majida Ka Naam :
Bibi Khadija Begam ( She belonged to the dynasty of Khwaja Ahmed Yeswi who was a distinguished Sufi ( Mystic ) of his time and founder of Yewaisia order )
708 Hajri Paidaish Ki Saal Hai Aur Sirf 05 Saal Ki Umr Mein Qirate Sab'aa Mein Quran Kareem Hifz Kiya .
722 Hijri Takmeel E Uloom O Funoon 14 Saal Ki Umr Mein .
723 Hijri Takht Nashini ( King Of Sinmnan Iran ) Walide Muhtaram Ke Wisal Ke Baad .
733 Hijri Tarke Saltanat ( Badshahat Chhodna ) Muddate Khilafat 10 Saal .
735 Hijri Baiat O Khilafat Simnan Se Pandwa Shareef Ka Faasla 2 Saal Mein Tamam Hua .
735 Hijri Se 741 Hijri ( 6 Saal ) Pehla Qiyaam Pandwa Shareef .
742 Hijri Rawangi Pandwa Shareef Se .
742-43 ( Ahde Sultanat Tuglaqya ) Jonpur Mein Pehli Aamad .
Yaha'n Se Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Program Banaya
Aur Ek Arsaa Tak Bilade Sharqiya Wa Mamalike Islamiya Ki Sair Farmate Rahe Jaziratul Arab Ke Alawa " Misr " Rom " Shaam " Iraq " Aur Turkistan Ke Mukhtalif llaqo Aur Shahron Mein Bhi Aapka Guzar Hua Aur Us Waqt Ke Jumla Mashaikhe Izam Aur Auliya E Kabaar Se Aapne Fayuz Wa Barkaat Hasil Kiye .
750 Hijri Mein Haji Nizam Yamni Moallif " Lataif E Ashrafı " Hazrat Gaus UI Aalam Ke Silsila Iradat Mein Daakhil Hue Jo Hazrat Ke Safar O Hazr Mein Aakhri Dum Tak Saath Rahe .
758 Hijri Hindustan Wapsi Mamalike Sharqiya Ki Pehli Sayahat Ka Zamana Pandra ( 15 ) Saal Qayaas Kiya Gaya Hai Bild Sharqiya Ki Wapsi Ke Baad Hazrat Gaus UI Aalam Ne Dusri Baar Safar Pandwa Shareef Ikhtiyar Kiya
Aur 04 Saal Tak Apne Peer o Murshid Ke Fuyuz 0 Barkaat Hasil Farma Kar Harmain Shareefain Ki Ziyarat Ka Do Baara Qasd Kiya
Issi Safar Mein Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Geelan ( Jilaan ) Pahonche Aur Apne Bhanje Syed Abdur Razzaq Noorul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Farmaya Yeh Hijri 764-65 Ka Waqia Hai .
764 Hijri Ke Safar Ke Dauran Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Gilan Pahonche Aur Apne Bhanje Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya . ( Ref . Hayat E Gaus Ul Aalam Safa No.93 )
768 Hijri Hindustan Ko Dobara Wapsi " " Mamalike Sharqiya Ki Dusri Sayahat Galiban 10 Saal Par Mushtamil Hai .
770 Hijri Mansab E Gausiyat Par Faiz Hona Bamugam Gulbarga Shareef .
782 Hijri Mehboob E Yazdani Ka Khitab Mila Bamuqam Rooha Baad Kichauchha Shareef Ussi Sana ( Year ) Mein Hazrat Gaus UI Aalam Ne Teesri Baar Apne Murshid Ka Niyaz Hasil Karne Ki Garaz Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya .
makhdoom ashraf kichocha sharif |
804-805 Haijri Jonpur Mein Dusri Aamad ( Ahad Sultan Ibrahim Saljoqi ) 808 Hijri Wisal E Mubarak 28 Muharramul Haraam . Mazaar Sharif Roohabad Kichauchha Shareef India . ( Ref . Gaus Ul Aalam & Sahaefe Ashrafi )
Aamad E Makhdoom Ashraf Jahaan'geer Simnani Ki Khabar Ba - Zubane Sultanul Hind Khwaja Gharib Nawaz
Risala Ghousiya Me Sultan Ul Hind , Khwaja E Khwajgaan , Hazrat Khwaja Moin - Ud - Din Hasan Chishti Ajmeri Alayhirrahmato Wa Ridwaan Tehreer Farmate Hain
" Mere Silsile Me Ek Ghous " Jahaan'geer " Paida Hoga Aur Woh Tarakki Ke Saath Mere Silsile Ko Jaari Karega "
Huzur Ashraf Simnaa Ke Naam Ka Sadqa Hamari Jholiya Bhar Dijiye Ya Garib Nawaz
Aabad Rahe Ashraf Ka Chaman Ya Khwaja Moeen - Ud - Din Hasan !!
Koun Paata Hai Khandaan Aysa
Murshid E Makhdoom E Simna
Qutb E Bangaal Shah Alaaul Haq Pandavi Radiyallahu Anhu Urs : - 23 , Rajabul Murajjab , Mazar : - Pandva Sharif , ( West Bengal India Neer Katihar )
Aap Kon the ?
Hazrat Sayyedna Makhdoom Alaul Haq Pandvi Chishti Radiyallahu Anhu Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simanani Radiyallahu Anhu Ke Pir o Murshid Hai
Aur Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Ke Khalifa He
Aur Ye Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Sultanul Mashaikh Hazrat Sayyedna Khwaja Nizamuddin Aulia Mehboob Ellahi Radiyallahu Anhu Ke Chahite Khalifa He .
( Ref . Sajra Aalia Qadri Chishtia Ashrafi
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Shaan - E - Makhdoom Ashraf Jahangir Samnani
Hazrat Meer Auhaduddin Sulatan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani ( R.A ) Tasanif - E - Kaseera They ,
Apke Khama - E - Paak Se Jo Sufiyana Tahreere Mukhtalif Unwaan Par Hai Sange Meer Ki Hasiyat Rakhti Hai ,
Haq Ta'ala Ne Ilm - E - Ladunni Ke Darwaza Ap Par kushada Kar Diya
Apki Zyadatar Tasaneef Safar Mein Raqam Hui Hai Safar Mein Qutub Khana Sath Sath Hota Tha Muta - Alaa Bahut Wasi Tha , Aap Mushkil Ash - aar Par Hazir Jawab The .
Hazrat Makhdoom - E - Paak Ne Khaas Taur Par Ilm - E Tasawwuf Par Hazrat Noor - Ul - Ain Ki Farmaish Par Fatawa - E - Ashrafiya Tasneef ki ,
Fusoos - Ul - Hukm Ki Sharayi Likhi , Qawaid - Ul - Aqaid Arabi Mein Douran E Makka Sharif Likhi , Sheikkh Shahabuddin Soharawardi Ki Mash'hoor Kitaab Awariful - Ul - Muarif Ki Sharah Likhi ,
Ashraf - Ul - Fawaid Gujrat Mein Taleef Farmayi , Unme Aksar Risail Napaed Hai Kyoki Ye Risayil Aksar Safar Mein Likhe Gayi Thi .
Gaus Ul Alam Mehboob - E - Yazdani Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani ( rahmatullahi Alaihi . ) Kichauccha Sharif Has Written A Number Of Books On Different Subjects
Which Indicate That He Was An Unparalleled Savant Of Theology And Other Related Subjects Of His Time .
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Books Written By Him Are As Follows :)
( 1 ) Kanzul Asrar .
( 2 ) Lataef E Ashrafi
( 3 ) Maktubate Ashrafi
( 4 ) Sharhe Sikandar Nama
( 5 ) Sirrul Asrar
( 6 ) Sharhe Awereful Marif
( 7 ) Sharhe Fosusul Hakam
( 8 ) Quawaedul Aquaed
( 9 ) Ashraful Ansab
( 10 ) Bahrul Azkar
( 11 ) Ashraful Fawaed
( 12 ) Ashraful Ansab
( 13 ) Fawaedul Ashraf
( 14 ) Tanbihul Akhwan
( 15 ) Bashara Tuzzakerin
( 16 ) Basharatul Ikhwan
( 17 ) Musta Lehate Tasuwwuf
( 18 ) Manaquibe Khulfae Rashedin
( 19 ) Hujjaluzza Kerin
( 20 ) Fatwa Ashrafia
( 21 ) Tafseere Noor Bakhhia
( 22 ) Irshadul Ikhwan
( 23 ) Resala Wahdatulwajud
( 24 ) Resala Dar Tajweze Tane Yazid
( 25 ) Bahrul Haquaeque
( 26 ) Nahve Ashrafia
( 27 ) Kanzuddaquaeque
( 28 ) Basharatul Mureedin
( 29 ) Diwan - E - Ashraf . Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain Jaame Lataif E Ashraf ( Hazrat Nizam Yamani Rahmatullah Alaih ) Qareebtees
( 30 ) Saal Safar Aur Hazar Mein Haazir E Khidmat Rahe US Muddat Mein Kabhi Yaad Nahin Ki Hazrat Makhdoom Ashraf Ne Koi Hukm Farmaya Ho
Aur Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain Ke Siwa Dusre Ne Uski Baja Aawri Mein Sabqat Ki Ho .
( Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.172 )
Hazrat Sayyedna Makhdoom Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Aulad E Gous E Aazam He :
1. Qutb E Rabbani Gous E Samdani Sultan Mira Mohyuddin Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
2. Hazrat Sayyedna Taajuddin Abdur Razzaq Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
3. Hazrat Sayyed Abu Swaleh Nasr Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
4. Hazrat Sayyed Abu Nasr Mohammad Jilani Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
5. Hazrat Sayyed Zahiruddin Ahmed Jilani Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
6. Hazrat Sayyed Saifuddin Yahya Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
7. Hazrat Sayyed Shamshuddin Mohammad Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
8. Hazrat Sayyed Alauddin Ali Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
9. Hazrat Sayyed Badruddin Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
10. Hazrat Sayyed Abul Abbas Ahmed Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
11. Hazrat Sayyed Abdul Gafoor Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu Aapke Shehzade
12. Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul Ain Jilani Ashrafi Radiyallahu Anhu
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Aala Hazrat sarkar Farmate Hain
Tu He Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka
Ek Martaba Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ki ...
" Mene Apne Aap Ko Tum Par Mukammal Nisaar Kar Diya Aur Tumse Koi Dareg Na Ki Aur Tumhari Aulad Ke Haq Me Allah Ta'ala Se Ye Bhi Darkhwast Ki He Ke Hamesha Maqbool O Mas'ood Rahe "
" Aur Tumhari Aulad Ke Har Tabqe Me Ek Rijaalul Gaib Aur Majzoob Hoga Aur Ek Aisa Shakhs Hoga Jiske Andar Meri Haalat Utar Aaegi ”
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Hazrat Sayyedna Sarkar Makhdoom Paak Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke
" Buzurgo Ko Roohe Unki Aulad Ke Sath Rehti He " ( Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani )
Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ke ..
" Mene Tumhari Aulad Ko Khazana E llahiya Me Sharik Kiya Hai Aur Haq Ta'ala Se Darkhwast Ki Hai Ki Agar Abdur Razzaq Ki Aulad Qaane'a Ho Yaani Duniya Se Be Ragbat Ho To Unko Kisi Ka Mohtaj Na Karna .
Adna Si Tavajjoh Se Unke Kaam Ban Jaaenge " Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke
" Farzanadane Noorul Ain Azizul Vujud Honge . Main Hayaat Va Mamaat Me Unke Sath Hoon Uske Baad Aapne Ye Do Sh'er Padhe
” ( Jiska Tarjuma Ye He ) " Jo Shakhs Aulia Ko Murda Samajhta He Wo Khud Murda He . Aulia Zinda Hai . Ashraf Zinda He , Murda Nahi . Jaha Se Use Pukaroge Pahonch Jaaege " ( Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani )
HAZRAT SYED ABDUR RAZZAQ NOOR UL AAIN KA SHAJRA E NASAB
1. Huzoor Muhammad Mustafa Sallallahualaihiwasallam
2. Syedatuna Fatematuz Zahra Radiyallahuanha
3. Imam Hassan Mujtaba Radiyallahuanhu
4. Syeduna Hasanul Mussana Radiyallahuanhu
5. Syeduna Abdullah Mahaz Radiyallahuanhu
6. Syeduna Musa Joon Radiyallahuanhu
7. Syeduna Abdullah Saani Radiyallahuanhu
8. Syedna Musa Saani Radiyallahuanhu
9. Syedna Daud Radiyallahuanhu
10. Syedna Syed Muhammad Radiyallahuanhu
11. Syedna Yahya Zahid Radiyallahuanhu
12. Syeduna Abdullahil Jeeli Radiyallahuanhu
13. Syeduna Abu Saaleh Musa Jangi Dost Radiyallahuanhu
13. Sayyad Al Qutbur Rabbani Wal Gaussus Samdani Wal Mahboobus Subhani Syedna Abu Muhammad Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani Radiyallahuanhu
14. Syedna Abu Bakrin Tajuddeen Abdur Razzaq Radiyallahuanhu
15. Syeduna Abu Saaleh Imaduddeen Radiyallahuanhu
16. Syeduna Abu Nasr Muhammad Radiyallahuanhu
17. Syeduna Saifuddeen Yahya Hamaviyu Radiyallahuanhu
18. Syeduna Shamsudeen Jeeli Radiyallahuanhu
19. Syeduna Alauddeen Ali Radiyallahuanhu
20. Syedna Badruddeen Hassan Radiyallahuanhu
21. Syedna Abul Abbas Ahmad Radiyallahuanhu
22. Syedna Abdul Gafur Jeeli Radiyallahuanhu
23. Syeduna Makhdumul Aafaq
24. Syed Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahuanhu
25. Sadate Kichauchha Sharif Ka Nasab
26. Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Se Milta Hai .
Noorul Ain " Khitaab Ki Wajah
Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Hazrat Mahkhdoom Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Se Aese Maanus Huve Ke Har Waqt Khidmate Aqdas Me Haazir Rehte The .
Aapke Waalidain Karimain Ne Jab Aapki Is Bepanaah Aqidat Va Muhabbat Ko Dekha To Apne Huquq Maaf Kar Diye Aur Aapko Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Supurd Kar Diya .
Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ne Aapko Qubul Farmaya .
Uloom Va Funoon Se Aaraasta Kiya.Ruhaani Aur Baatini Talkin Va Tarbiyat Farmayi .
Suluq Ki Manaazil Tay Karaayi.
Aapko Ilm - E - Ma'arifat Aur Ishq - O - Muhabbat Ke Aala Darja Par Pahucha Diya .
Ek Martaba Hazrat Makhoom Sayyed Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya To Aapne Farmaya ....
" Buzurgzaade Buzurg Logo Ke Tarike Par Kam Paaye Jaate Hai Aur Mai Aesa Buzurgzaada Rakhta Hu Ke Wo Buzurgzaada Hi Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Paida Karna Hai .
" Aur Log Aulad Ko Pusht Se Paida Karte Hai Aur Maine To Noorul Ain Ko Aankho Se Paida Kiya Hai .
" Aur Ek She'ar Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ki Zabaan Mubarak Se Nikla Jiska Tarjuma Ye Hai Ki ...
" Maine Apni Aankho Ke Noor Se Kya Noor Dekha Hai Jo Meri Aankho Ka Noor Ban Gaya .
" Us Din se Aapka Khitaab " Noorul Ain " Ho Gaya .
( Ref . Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani )
Zikr E Hazrat Noor - Ul - Ayn Radiallaho Anhu
Hazrat Makhdoom Ala - Ul - Haq Pandvi Ganj E Nabaat Alayhirrahmahto Wa Ridwaan Ne Kamal E Basharat Ke Saath Apne Murid E Khas Hazrat Mehboob - E Yazdani Se Irshad Farmaya Ke .
Saiyyed ( Syed Makhdoom ashraf Jahangir Simnani ) Mubarak Ho Tumhare Farzand E Dini Ke Liye Baargaah E Parwardigar Me Khwahish Kee Hai Ke Tumhare Waste Farzand
Sar - E - Halqa - E - Silsila Aur Tumhare Khandan Ka Peshwah Ho Aur Tumhara Naam Zamane Me Is Farzand Se Roushan Ho .
Aour Woh Farzand Tumhare Khandan Ka Hoga !!! Hazrat Mehboob - E - Yazdani Ne Farmaya ki
Haq Ta'ala Ne Mujh Ko 2 Ne'mate Ata Ki Ek Sirr Aur Dusri Sar Dono Ko Farzand Noor - Ul - Ayn Ke Uper Se Qurban Ker Diya
Hazrat Mehboob - E - Yazdani Ke Sam'ne Buzurg'zadgi Ka Zikr Aaya Farmaya .
Buzurg'zade Buzirgon Ke Tariqe Per Kam Paaye Jaate Hai Aur Mai Aysa Buzurg'zada Rakhta Ki Buzurg'zada Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Payda Karne Ka Hai
Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Payda Karte Hain Maine Noor - Ul - Ayn Ko Apni Aankhon Se Payda Kiya Hai Baa - Wajud Yeh Ke Karabat Ki Nisbaten Rakhta Hun .. !!
Hazrat Noor - Ul - Ayn Radiallaho Anho Ki Umr Sharif 120 Saal Ki Thi
Aap Ki Wiladat 752 Hijri Me Hui . 12 Baras Ki Umr Sharif Me Hazrat Mehboob - E - Yazdani Ki Khidmat Me Haazir Hue
48 Baras Tek Hazrat Mehboob - E - Yazdani Ki Khidmat Me Rahe ..
40 Baras Tek Hazrat Mehboob - E - Yazdani Ke Wisal E Zaheri Ke Baad Sajjada - E - Hidayat Per Rounak Afroz Rsh Ker Bandgaan E Khuda Ko Faiz Pahunchate Rahe .
7 Zilqada 872 Hijri Me Aap Ne Wisal Farmaya .
( Urs : - 7 , Zilqa'ad ,
Mazar : - Kichhouchha Sharif )
Wisaal Sharif : - 7 , Zilq'adatul Haraam , Hijri 872
Umr Sharif : - Ek So Bees / 120 Saal
Mazar Sharif : -
Aapka Mazar Sharif Hazrat Makhdoom Paak ( Radiyallahu Anhu ) Ke Gumbad Sharif Ke Andar Purab ( East ) Ki Jaanib Hai . ( Sahaaif E Ashrafı / Part - 2 / Page Nk.54 To 61 )
Makhdoome Aafaaq Hazrat Sayyedna Abdul razzaq " Noorul Ain " Ashrafi Jilani ( Radiyallahu Anhu )
Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangir Simnani ( Radiyallahu Anhu ) Ki Khaala Zaad Bahan Ke Saahab zaade Hai .
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq " Noorul Ain " ( Radiyallahu Anhu ) Ke Paanch ( 5 ) Sahabzaade Huve .
Jis Waqt Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed Ashraf ( Radiyallahu Anhu ) Ne
" Aapko Apna Sajjaadanashin Banaaya To Aapse Ye Bhi Farmayake Apne Farzando Ko Bhi Khilaafat Va Sajjadagi Se Sarfaraz Karna .
" Paancho Beto Ke Naam Ye Hai
1. Hazrat Sayyed Shamshuddin ,
2. Hazrat Sayyed Hasan ,
3. Hazrat Sayyed Hussain ,
4. Hazrat Sayyed Farid ,
5. Hazrat Sayyed Ahmed ( Radiyallahu Anhum ) . "
Hazrat Sayyed Shah Hasan Qattal ( Radiyallahu Anhu ) Ko Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq " Noorul Ain " ( Radiyallahu Anhu ) Ne " Apna Sajjadanashin Banaaya
Aur Aaj Bhi Aapke Aulad Va Amjaad Me Aastana - E - Aaliya Ki Sajjadagi Qaayam Hai . "
" Ashrafi Naaz Kar Tu Ashraf Par
Kaoun Paata Hai Khandaan Aesa . "
Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani
Hazrat Mahboob E Yazdani Awwal Safar Mein Iraq Se Sahabzadh Noor Ul Aain Ko Saath Liye Shaher Bukhara Mein Tashreef Laaye Aur Khwaja Naqshband Rahmatullahe Ta'ala Se Mulaqat Hui Toh Aapne Puchha ,
Baccha Kaun Hai ?
Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Arz Kiya Ke Mera Farzand Hai Aur Maine Inko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya Hai Yeh Ladka Aoulade Gaus Ul Saqlain Se ( Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No. , 65 )
Hazrat Mahboob E Yazdani Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya , Farmaya :
Aur Mai Aisa Buzurg Zaada Rakhta Hoo'n Ke Buzurg Zaada Hi Nahin Balke Uska Kaam Buzurg Paida Karne Ka Hai ,!
Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Paida Karte Hain ,
Maine " Noor Ul Aain " Ko Apni Aankhon Se Paida Kiya Hai ( Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.57 )
Aadab E Peer O Murshid
Hazrat Makhdoom Ashraf Shah Jhahangir Simnani Radi'allahu Ta'ala Anhu Farmate Hain , "
Bargah E llahi Me Maqbuliyat Ka Mera Darja Agar Intehayi Bulandi Par Pahunche Ki Arshe Mo'alla Tak Mera Sar Jaye Tab Bhi Apne Murshid E Kamil Ke Aastane Par Hi Mera Sar Hoga . ( Seerat Fakhrul Aarefeen , 186 )
Khandan e Ashraf e Simna ( King of Simnan )
Aur Mahmood Ghajnavi
Mahboob E Yazdani Syed Makhdoom Ashraf Ne Rasala " Ashraf Ul Fawaid " Mein Farmaya Hai Ke Mere Khandan Ki Azmat Aur Shaan Buland Hai Yaha'n Se Tasawwur Karna Chahiye Ke Mahmoud Ghaznawi Jaise Badshah Hamare Buzurgon Ke Ghulam Zaado Ne Saltanat Aur Badshahat Ki Hai
Makhdum E Paak Ka Ek Budhe Lashkari Ko Arfaa Ke Din Haj Ko Bhejna Peer Ali Baig Ek Muheem Ke Waste Lashkar Liye Ja Rahe The ,
Hazrat Mehboob E Yazdaani Ki Baargaah Me Dua Ki Darkhwast Ki , Aap Ki Dua Se Unko Fateh Haasil Huwi .
Jab Fateh Ke Baad Peer Ali Baig Wapas Loute , Un'ke Lashkar Me Ek Budha Shakhs Tha Jo Saal- Haa - Saalo Se Ghaans Laya Kerta Tha . Us Budhe Shakhs Ne Nihaayat Hasrat Ke Sath Ye Kahaa ki , " Aaj Youn E Arfaa Hy .. !!
Haaji Apne Qaaba E Maqsud Ko Pahuche Hoge .
Kya Achha Hota Ki Mai Bhi Es Doulat Se Sarfara Hota .. !! " Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Ye Sun Ker Us Budhe Shakhs Se Farmaya , " Kya Tum Haj Kerna Chahite Ho .. ? "
Usne Arz Kiya , Agar Ye Doulat Nasib Hoti Tou Kya Hee Achha Hota .
Hazrat Ne Farmaya .. " Aao " Woh Shakhs Hazrat Ke Kareeb Aaya .
Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Dast E Mubarak Se Isharah Kiya Aur Farmaya .. "
Jaao " Bil Four Es Farman Ke Woh Shakhs Qaaba Sharif Pahuch Gaya .
Aur Manasiq E Haj Ada Ki Aur 3 Roz Tek Qaaba Sharif Me Raha
Ek Din Us Ko Dil Me Khayal Aaya ki , Kaash Koi Shakhs Mujh Ko Mere Watan Pahucha Deta .
Es Khayal Ke Aate Hee Us Ne Hazrat Mehboob E Yazdaani Ko Wahaa Hazir Dekha
Hazrat Ko Dekhte Hee Wo Fouran Aap Ke Kadmo Me Gir Pada
Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Farmaya Ki "
Jaao " Us Ne Apne Sar Uthaya To Woh Apne Ghar Watan Me Moujud Tha . !! .
Subhanallah .
Ashrafi Naaz Ker Tu Ashraf Par
Koun Paata Hai Khandaan Aysa
Gustakh - E - Ashraf Ka Anjam
Hazrat Makhdum Sultan Syed Ashrafjahaangeer Simnani Radiallaho Anho Ka Ma'amul Tha Ke Aap Namaz - E - Jum'aa Ko Safar Wa Hajar Me Kabhi Tark Nahi Farmate The
Jab Tak Ke Aastana - E - Roohabaad Me Jame'a Masjid Taiyaar Nahi Ki Thi .
Ba - Maqam Kasbah Sambhuli Jo Aastana - E - Roohabaad Se 7 Kosh Ke Faasle Per Tha Namaz Padhne Tashrif Le Jate The .
Es Qasbah Me Oulmah Kasrat Se Rehte The . Baad Ada E Namaz - E - Jum'aa Wahaan Ke Mullaon Aur Talbah Me Se Ek Shakhs Ne Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Maslah Ilm - E Kalam Pesh Kiya Ke Bandah Ikhtiyar Rakhta Hai Ke Be -Ikhteyar Hai ?
Aur Teesri Baat Darmiyan Me Nahi Agar Ba Ikhtiyar Kahe Tou Qadriyah Hote Hai Aur Be- Ikhteyar Kahe Tou Jabriyah Hote Hai .
Pas Mazhab Darmiyan Jabr Aur Qadr Ke Jo Kahaa Hai Woh Kya Hai ?
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Farmaya Ke " Yeh Masla Agle Ulmaa Ko Bhi Mushkil Tha Lekin Ba - Zahir Aysa Ma'alum Hota Hai Ke Insan Ko Ikhteyar Zaheri Hai Aur Jabr Ma'anwi Hai.Jaysa Ke Muqaddamah Yazdawi Me Hazrat Imam Fakhr - Ul - Islam Ne Farmaya Hai .
Ikhtiyar Bil - Surat Wa Jabr Fil - Ma'aani " Woh Talib E - Ilm Apne Ghurur - E - Ilm Se Dalaail Na - Ma'aqul Pesh Kerne Laga . Hazrat Mehboob E Yazdani Ko Na Samjha Uski Murad Apni Ilmi Qabeliyet Zahir Kerna Thi Aur Uski Baa'z Baato Se Hasad Ki Boo Aati Thi
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Har Baat Ka Jawab Diya Yahan Tek Dalaail Aur Bahas Ko Tawalat Hui Ke Us Talib - E - Ilm Se Koi Kalmah Khilaf - E Adab Zahir Huwa Aur Hazrat Mehboob E Yazdani Ke Chehra - E - Mubarak Per Tajalli - E - Ism - Ul - Qahhar Zahir Huwi !
Farmaya Ki " Abhi Teri Zuban Kaam Ker Rahi Hai .. ?
Yeh Farmate Hee Us Shakhs Ki Zuban Uski Munh Se Latak Padee Phir Baat Kerne Ki Taqat Na Rahi
Tamam Hazerin - E - Majlis Es Waqe'aah Ko Dekh Ker Hayrat Me The Aur Hazrat Ke Samne Ma'azerat Ker Rahe The .
Us Talib - E - Ilm Ki Maa Ek Gharib Budhiya Thi .
Es Khabar Ko Sun Ker Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Nehayet Aajezi Wa Alhaah Se Ro - Ro Ker Arz Kerne Lagi .
Hazrat Mera Yehi Ek Ladka Hai Aur Hindi Zuban Me Woh Arz Kerne Lagi .
Poot Bheek De
Jab Us Budhiya Maa Ki Aah Wa Zaari Hadd Se Ziyada Guzri Tou Farmaya Ke .
" Teer Nishane Per Pahuncha Huwa Wapas Nahi Aata Lekin Uski Zuban Uske Munh Ke Andar Aa Jayegi
Magar Aasaar - E - Luknat Uski Zuban Se Na Jayega Balke Uski Jo Aoulad Payda Hogi Woh Bhi Hakli Paida Hogi Aur Koi Aalim Es Kasbe Me Zinda Na Rahega .
Hazrat Maulana Nizamuddin Yamni Farmate Hai Ki Baad Chand Muddat Ke Mai Us Kasbe Me Gaya .
Daryaft Kiya Tou Ma'alum Huwa Ke Woh Be Adab Mar Gaya Uska Ek Ladka Moujud Hai , Uski Zuban Me Luknat Hai Aur Jo Kasbah Ulma Wa Foozla Se Bhara Huwa Tha Veeran Ho Gaya
Baa'z Ulma Mar Gaye Aur Baa'z Ka Ilm Faramosh Ho Gaya Allah Tabarak Wa Ta'ala Har Shakhs Ko Buzurgaan - E - Deen Ki Khidmat Me Ba - Adab Rakhe
Baa - Adab Baa - Nasib Be - Adab Bad - Nasib
( Sahaaif - E - Ashrafi / Page No.232-33 Written By : Ham Shabeeh E Ghous E Aazam Mehboob - E - Rabbani Hazrat Syed Ali Hussain Kichhouchhwi " Ashrafi Miyan " Alayhirrahmato Wa Ridwaan )
Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani ( R.A ) Ne Farmaya Ki ..
Haq Ta'ala Ne Mujhe Basharat Di Hai , Jo Shaks Tera Ye Kalaam Padhega Wo Daakhil - E - Hasnaat Hoga . ( Lataif - E - Ashrafi P - 16,17 )
Muddat Tees ( 30 ) Saal Tak Mere Wuzoo Ka Bacha Hua Paani Is Farzand Ne Piya He Allah Ta'ala Ki Bargah Mein Maine Dua Ki Hai
Ke Aasar Is Aabe Hayat Ke Aur Barkaten Aur Fawaid Uske Farzand Noor Ul Aain Aur Unki Aulad Mein Qayamat Tak Baaqi Rahega Be Hurmate Nabi . ( Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.65 )
770 Hijri Ko Mahboob - E - Yazdani Maqam E Roohabad Mein The Ke Ek Kaseer Jama'at , Das Hazaar Aadmiyo Ki Mahboob - E - Yazdani Ke Daste Mubarak Par Sharf E Iradat Se Musharraf Hue ( Mureed Hue )
Tamam Mureedo'n Ke Naam Hasbe Dastur Daftar Mein Likkhe Jaate They Jab Daftar Mureedo'n Ka Bahut Ho Gaya ,
Khudam Ne Arz Kiya Ke Kasrat Mureedo Khulafa Is Qadar Hai Ke Uski Hifazat Mushkil Hoti Hai ,
Mahboob - E - Yazdani Ne Farmaya Ke Mureedo'n Ka Daftar Utha Lao , Logon Ne Haazir Kiya- Hazrat Ne Apne Daste Mubarak Mein Daftar Ko Uthaya
Aur Ek Ek Warq Paani Mein Dhone Lage Aur Farmaya Ke Maine Unke ( Mureedo'n Ke ) Gunaho Ke Naam Aamaal Dho Diya Aur Magfuro'n Mein Unke Naam Likkhe Gaye Hain , Haq Ta'ala Se Maine Khwahish Ki Hai Ke Koi Shaher Aur Koi Zameen Aur Koi Jangal Purab , Pachhim ,
Uttar , Dakhhin Mein Mere Mureed O Khulfa Honge Magar Dozakh Mein Koi Mera Mureed O Khalifa Nazar Nahin Aayenge . ( Sahaaif E Ashrafi Jild 1 Safa No.145 )
Hazrat Abdur Razzaq Noor Ul Aain Farmate Hain Ke Ek Roz Hazrat Mahboob - E - Yazdani Par Ajeeb Kaifiyat Taari Thi Saathiyo Se .
Basharat Aamez Baaten Farma Rahe They Ussi Dauran Meri Taraf Tawajoh Ki Aur Dekhte Rahe Phir Basharat Ke Saath Farmaya :
Maine Apna Sab Kuchh Tum Par Nisaar Kar Diya Hai Koi Juzw Tum Se Bacha Kar Nahin Rakkha Aur Tumhare
Farzando'n Ke Liye Haq Ta'ala Se Darkhwast Ki Hai Ke
Hamesha Mas'ood Wa Maqbool Rahen Aur Yeh Ke Un Mein Har Tabqe Mein Ek Rijalul Gaib Mein Se Aur Ek Majzub Hoga . ( Lataaif - E - Ashrafi Jild 7 Safa No.177 )
Hazrat Abul Fazl Nizamuddeen Yamani Rahmatullahe Ta'ala Alaihe Jame Lataaif - E - Ashrafi " Apna Haal Yu'n Bayan Karte Hain Ke Ek Maqam Par Mera Guzar Hua ,
Ittafaqan Meri Nazar Ek Khubsurat Aurat Par Parhi Mera Dil Uske Ishq Mein Aisa Giraftar Hua Ke Uski Wajah Se Khana Peena Chhut Gaya ,
Yeh Raaz Kisi Par Zaahir Nahin Tha Jab Hasbe Maamul Mahboob - E Yazdani Ki Khidmat Mein Haazir Hua , Jaise Hi Huzoor
Ki Nazar Mujh Par Parhi Aap Muskuraye Aur Qissa Ishqe Majnu Zuban Par Aaya
Farmaya Ke Allah Ta'ala Ne Majnu Ko Sharfe Ishqe Haqeeqi Se Musharraf Farmaya Tha , Dusro'n Ke Liye Aisa Ishq Majazi Nuksan Pahonchata Hai ,
Hazrat Ke Farmate Hi Mere Dil Se Us Aurat Ka Ishq Jaata Raha Yeh Aapke Tasarruf Ka Asar Tha Warna Aatishe Ishq Ka Jaana Muhaal Hai . ( Sahaaif - E - Ashrafi Jild 1 Safa No.251 )
Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf , Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Ne Khidmat E Babarkat Walidah Majidah Mein Haazir Ho Kar Ijazat Talb Ki Ke
Agar Hukm Ho Toh Mai Is Saltanat E Duniya Ko Tark Kar Ke Faqr Ikhtiyar Karun Aur Badshat Mulke Aakhirat Haasil Karun , Hazrat Ki Walidah Ne Farmaya
" Ay Farzand Tum Paida Bhi Nahin Hue They Usse Pehle Hamare Jadde Amjad Sultan Ul Aarifeen Khwaja Syed Ahmad Rahmatullah Alaihe Ne Khwab Mein Basharat Di Thi Ke Tum Ko Aisa Farzand Nasib Hoga ,
Dunia Uski Aaftab E Wilayat Ki Chamak Se Roshan Ho Jaayegi Aur Uski Noor E Hidayat Ki Badolat Jahan Se Gumrahi Mitjaayegi . ( Sahaefe Ashrafi Safa Jild 1 Safa No.73 )
Hazrat Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Ne Farmaya Ke Har Is Faqeer Ko Is Qadar Mashaikh E Kasira Se Faiz Haasil Hua Hai
Ke Jiski Sharah Had Se Bahaar Hai Lekin Yeh Banda Khaash Parwarish Yafta Khandan E Chisht Ahle Bahisht Ka Hai . ( Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No37 )
Hazrat Khwaja Nizamuddeen Yamani Lataaif E Ashrafi Mein Farmate Hain Ke Mai 30 Baras Kamil Hazrat Mahboob E Yazdani Ke Hamrah Safar O Hazar Mein Haazir Raha
Is Muddat Mein Mujh Ko Yaad Nahin Ke Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Agar Kisi Kaam Ke Liye Irshad Farmaya Siwaye Sahabzaadah NoorulAain Ke Koi Sabqat Na KarSaka . ( Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.56 )
Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Jahangeer Ne Farmaya Ke Hum Ne Abdur Razzaq Aur Uski Aulad Ko Khazana E llaahi Se Mila Diya Hai Agar Iski Aulad Qana'at Ikhtiyaar Karegi Toh Hum Ne Baargahe Haq Mein Dua Ki Hai Ke Khabhi Kisi Ke Mohtaj Na Honge . ( Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.175 )
Makhdoom Paak Ne Noorul Aain Ke Haath Mubarak Ko Pakad Kar Farmaya Ke Baba Haji Abdur Razzaq Hum Ko Apne Se Juda Na Jaano . ( Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.202 )
Hazrat Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Ka Ilm Ajeeb Khudadaad Ilm Tha Ke Aap Roohe Zameen Mein Jaha'n Tashreef Le Gaye Wahi'n Ki Zuban Mein Taqreer Karte AurUssi Zuban Mein Kitab Likkh Kar Waha'n Ke Logon Ke Liye Chhod Aate . ( Sahaefe Ashrafi Jild 1 Safa No. 115 )
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Do You Know This also?
4 Million Non - Muslims Accepted Islam At The Hands Of Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani
[ Rahmatullah Taa'la Alaiy ) ...
Sirajul ' Arifeen Zubdat As - Sualiheen , Ghous Al - ' Alam Sultan Hazrat Sayed Makhdoom Ashraf Jahangeer Simnani ( Radi Allahu Ta'ala Anho ) The Reformer And Revivalist ( Mujaddid ) Of The 8th Century ( Hijrah ) .
Books Related To Gaus Ul Alam Mehboob - E - Yazdani Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani ( R.A. ) Kichauccha Sharif . ( U.P ) , India , As Follows :
1. ' Hayate Syed Ashraf Jahangeer Simnani ' By Syed Waheed Ashraf Published in 1974 , India .
2. " Muqaddema - E- Latāif - E - Ashrafi ' Book In Persian , Published By Maharaja Sayajirao University of Baroda , Vadodara , Gujarat , India
3. Akhbarul Akhyar ' By Abdal Haqq Muhaddith Dehlwi ( D.1052h - 1642 Ce ) . A Short Biography Of The Prominent Sufis Of India
Have Been Mentioned In This Book Including That Of Hazrat Syed Ashraf Jahangeer Simnani .
4. Sufi Martyrs Of Love : The Chishti Order In South Asia And Beyond By Ernst , Carl W. And Lawrence , Bruce B. , Publisher = Palgrave Macmillan , New York .
5. ' An Overview Of Sufi Literature In The Sultanate Period ' By Dr. Bruce B Lawrence , Khuda Bakhsh Oriental Public Library , Patna .
6. ' Society And Culture In Medieval India 1206-1556 A.D By Rashid , A. In 1969 , Publisher Firma K. L. Mukhopadhyay .
7. Lataife Ashrafi ' By Ashraf Jahngir Simnani , Compiled By Nizam Yemeni , Edited And Annotated By Syed Waheed Ashraf And Published in 2010 ,
Publisher Makhdoom Syed Ashraf Jahangir Academy , 17 Kalyan Society , Outside Pani Gate , Baroda - 390019 , Gujarat , India
8. ' Zikre Ashraf ' By Maulana Syed Qadeer Ahmad Ashrafiul Jilani , Published 1974
9. Historical Dictionary Of Sufism By John Renard , The Scare Crow Press , Inc , 2005 , Isbn 0-8108-5342-6 , Page 222
10. Dictionary of Indo Persian Literature By Nabi Hadi , Abhinav Publications , New Delhi , 1995 , Page 93
11. Biographical Encyclopaedia of Sufis : South Asia By N. Hanif , Sarup & Sons , Newdelhi 2000 , Page 28
12. The Rise Of Islam And The Bengal Frontier , 1204-1760 By Richard Maxwell Eaton , Univesity Of California Press , 1993 , Page 71 ,
13. The Throne Carrier Of God : The Life And Thought Of Ala'ad - Dawla As - Simani By Elias J Jamal , State University Of Newyork Press , 1995 .
14. The Sufi Saints Of Indian Subcontinent By Zahurul Hasan Sharib , Munshi Ram Manohar Publishers , India , 2006 , Page 144
15. The Ruby In The Dust : Poetry And History Of The Indian Padmavat By Sufi Poet Muhammad Jayasi By Thomas De Bruijn , Aup - Leiden University Press , 2012 .
Keep visiting infomgm any islamic knowledge in hindi urdu English language GK quiz Namaz Roza Iftar Hajj zakat Wazu gusal qurbani ka masla Hindi me padhen hindi me Infomgm ke Post m
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
HAZRAT SULTAN SYED MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SAMNANI rahamatullaah alaih
Mere pyare bhaiyo aur bahno aaj main aapko ek aise allah ke wali ke baare me batane ja rahe Hain jinhone apne rab ke liye apni poori saltanat ko allah ki raah me chhod diya.
waise to aise bahut se allah ke wali guzre hai jinhone apne rab ki khatir apni huqumat ko chhod diya ,
lekin jo mashur hai wo ek Hazrat Ibrahim Bin Adham aur dusre Hazrat Sultan Makhdum Ashraf Jahagir Samnani.
To aaj ham Sultan Syed Makhdum Ashraf Jahangir Samnani ki zindagi ke baare me ilm hasil karenge.mujhe ummeed hai ki iss post se aapke ilm me izafa ho.
Hazrat Sultan Syed Makhdum Ashraf Jahangir Samnani Rahmatulla ta-ala alaiye ki tareekh -e-padaish 712 hijri hai or tareekhe wisaal 28 muharram 832 hijri (6 november 1428 ishvi ) hai.Aapki kul umr mubarak 120 hai.hazrat syed gous-e-paak ke 151 saal baad aap paida huye aur aaj aapko duniya se gaye hue 632 saal ho chuke hai.aapka mazar india ke utter pradesh jila faizabad ke kichhocha sharif me hai.
Naam-e-mubarak par tafsira:-
Sultan- aapke naam me sultan isliye lagta hai kyunki aap samnan ke sultan the.jise aapne allah ki raah me chhod diya aur fakeeri ko ikhtyar kiya.
Syed - aapke naam me syed isliye lagta hai kyunki aap aulade rasool hai or aapka silsila-e-nasab hazrat mola-e-qaynat Ali ibne abi talib tak pahuchta hai.
Jahangir - aapko jahangir isliye kaha jata hai kyunki jahagir ka matlab hota hai jahan ko pakde wala aapne apni poori zindagi me 3 baar poori duniya ka chakkar lagaya isliye aapke peer-o-murshid ne aapko ye laqab ataa farmaya hai.
Samnani-samnani aapko isliye kaha jata hai kyunki aap mulk-e-samnaan ke sultan the jo ki iran me mojood hai.
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Seerat:
Siraj-ul-aarifeen Gous-ul-alam Hazrat Sultan Syed Makhdum Ashraf Jahangir Samnani aalam-e-tasawwuf ki ek aesi mumtaz aur roohani shakshiyat hai,
jinka chamakta hua suraj hai jinhone roohaniyat aur ilm ki duniya ke har kone ko roshan kiya hai.Aaiye ham unki zindagi aur talimat par nazar dale.
Khandan-e-darakht:-
Hazrat Syed Makhdum Ashraf Jahangir Samnani ka silsila-e-nasab kuch is tarah hai:-
Syed Makhdum Ashraf Jahangir Samnani, Hazrat Syed Ibrahim Noor Bakhshi ki aulad hai aur wo ,
Sultan Syed Nizamuddeen Noor Bakhshi ki aulad hai aur wo,
Sultan Syed Nizamuddeen Aleshra ki aulad hai aur wo, Sultan Zahiruddeen Muhammad ki aulad hai,
aur wo Sultan Tajuddeen Bahlol ki aulad hai,
aur wo Syed Muhammad Noor Bakshi ki aulad hai,
aur woSyed mahdi ki aulad hai ,
aur wo Syed Kanaludden ki aulad hai.
aur woSyed jamaludden ki aulad hai,
aur wo Syed Hassan Sharif ki aulad hai ,
aur wo Syed Abu Muhammad ki aulad ahi,
aur wo Syed abul Musa Ali ki aulad hai,
aur wo Syed Ismail Saani ki aulad hai,
aur wo Syed Abul Hassan Muhammad ki aulad hai,
aur wo Syed Ismail Areez ki aulad hai,
aur wo Hazrat Syed Zafar Sadiq rahamatullaah alaih ki aulad ahi,
aur wo Hazrat Syed Imam Muhammad Bakar rahamatullaah alaih ki aulad hai,
aur wo Hazrat Syed Imam Zainul Abideen rahamatullaah alaih. ki aulad hai,
aur wo Hazrat Syed Imam Hussain R.A. ki aulad hai,
aur wo Hazrat Mola-e-Qayenaat Ali Ibne Abi Taalib ki aulad hai.
Aapke walid ka naam
Hazrat Ibrahim Noor Bakhshi rahmahulla hai.
Aap Simnan ke sultan the.
Jahan unhone 20 saal tak nihayat hi insaaf aur khuloos ke sath hukmrani ki.
Wo na sirf ek Badshah the balki ek aalim bhi the aur batini tor par tasawwuf ki taraf mail the.
Wo islami bachcho ka ahtaram karte the aur islami huqumat ki sar parasti karte the.
Yahi wajah hai ki unke dor-e-huqumat me 12 hazar talba mukhtalif idaro me taleem hasil karte rahte the
aur wo apne dor ke sufi darwesho se milte rahte the aur unse sufiyana ilm hasil karte the.
Unhone sheikh Hazrat Hassan shaq ki khankaah ki tameer karwai aur Hazrat Imam-e-Azam ki mazar par bhi tameeri kaam karwaye.
Unhe baqaida mutaala karne me tareekhi tabri ki kitabo ka shok tha.Hazrat Lateef Ashrafi me Hazrat Najim yamani ne zikr kiya hai ki
Hazrat Makhdum Ashraf kaha karte the ki unke walid ke dor-e-huqumat me 12 hazar islami idare kaam kiya karte the.
Hazrat Bibi Khatija Begham Syed Makhdum Ashraf ki walida thi.unka taaluk Hazrat Ahmad yasvi ki nasl se tha
jo apne waqt ke ek mashhur sufi the aur owaisiya huqm ke bani the.Unki walida ne ek saaf suthri aur pakiza mazhabi mahol me parwarish paayee jiske natije me wo gahri mazhabi ,
zahan,muttaqi aur parhezgaar thi.wo apna zyadatar waqt quran paak ki tilawat me guzarti thi.
wo aksar din me roze rakhti thi raat me jaagti thi taki namaz me guzar sake.
Wo tahajjud ki bahut paband thi aur mukhtasar ye hai ki wo apne aba-o-ajdad ki amanat ki amanat thi.
Jab Hazrat Ibrahim Noor Bakshi ki umr mubarak 25 saal hui to aapne allah ke rassol ki sunnat par amal karte hue nikaah farmaya.
aapka nikah ek sufi gharane me hua or aapki bibi ka naam Hazrat Khatija Rahmahulla se hua or inka shajra alvi hai jo mola-e-qaynat se jakar milta hai Hazrat Ibrahim saltanat ke sultan the.
Allah ne aapko betiyo se nawaza par aap apne janasheen hone ke liye 8 saal tak bete ki dua karte rahe.
ek din aapke darwaze par ek majzoob Ibrahim aaye to apne darwaza khola to unhone kaha ki beta chahiye to saoda karo1000 ashrafi do
Aour ashraf lelo to aapne turant 1000 ashrafi dedi uske baad un majzub ne farmaaya ki jao allah ne tumhe ashraf de diya
aour fir wo chal diye kuch dur chalne ke baad wo majzub gayab ho gaye.
Un fakeer ki dua se allah ne aapko ek beta diya jinka naam Syed Makhdum Ashraf Jahangir samnani rahamatullaah alaih hai.
708 hijrii me samnan (iran) me aapki paidaish hui.Aapne 7 saal ki umr me hi quran-e-kareem hifz kar liya uske baad aapne hadees-e-rassol aur mukhtalif shakho jaise tafseer,
hadees ,fiqh, aur deegar musameen ki taleem me mashgool ho gaye. Aur faqat 14 saal ki umr me aapne saare uloom me maharat hasil karli thi.aapke ilm ka charcha poori dunya me hone laga.
Tarq-e-Saltanat:-
Allah ki mazi ne unke sar par badshahat ka taaj rakha.Ye ek tarikhi haqeekat hai ki unhone poori zimmedari ke sath riyasat ke umoor jaari rakhe,
lekin wo fitri tor par tasawwuf aur sulook ki aur maail the.
Wo aksar apna waqt roohaniyat ke mutabarraq sufi darvesho ki sohbat me bitaya karte the.
wo riyasat ke umoor se nagavaar mahsus karte the aur sulook aur marfat ke bare me ilm hasil karte the.
Allah ki had se zyada muhabbat ke aage jo unke dil me jal rahi thi
uske natije me had se zyada duniya se nafrat aur bezaari badhane lagi.
Umoor mumalik ke sath jab wo 23 saal ke hue to unhone Hazrat Owais Qarni R.A. ko khwab me dekha jinhone zubaan istemaal kiye bagair azqaare owaisiya(owaisiyo ki yaad aavri) ki taleem di.
Wo 3 saal tak azqaare owaisiya me lamha ba lamha mashgul rahe jiske natije me Allah se muhabbat ki chhupi hui aag aur zyada bhadak uthi aur unhone apne aapko uss aag me khud jala diya.
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Ek din Hazrat Khizr Alaihissalam unke samne aaye
aur farmaya ke ae Ashraf wo din aa gaya hai jis maqsad ke liye aapko duniya me bheja gaya hai.
Duniyavi takht tarq karein aur Hindustan ki taraf ravan ho jaye jahan sheikh Alaulhaq ganj nibat bechain hokar bangal ke pandwa me aapke muntazir hai..
Jab aapke walid hazrat ibrahim ka wisaal ho gaya to unke wisaal ke baad aapne Hazrate Khidra Alaihissalam ke mashvare ke mutallik aapne takhte samnan ko chhod diya
aour apne chhote bhai Hazrat sultan Muhammad Arif aur apni walida Hazrat Khatija ko Hazrat Khidra Alaihissalam ke mashware ke bare me bataya aur unse izazat talab ki ke wo apne maqsood muqaddas pandwa sharif ki taraf safar kare.
To aapki walida ne khushi-khushi aapko izazat dedi kynki unhe pata tha ki Ashraf ki manjil samnan nahi balki Hindustan main hai jahan wo apni roohaniyat aur ilmi tarbiyat ke zariye islam ke gulshan ko abaad karenge.
Aap 1000 sainiko ke sath Hindustan ke liye ravana ho gaye.
Hazrat Syed Makhdum Ashraf un sainiko ke sath teen marahil tak gaye fir aapne un sainiko ko wapas bhej diya aur apne sath sirf ek ghoda aur ek nokar ko rakha .
10 din ke baad aapne uss nokar ko bhi samnan wapas jane ko kaha aur khud akele aage safar karne lage.
“Tarq-e-duniya gar sultan shaavi,Mahar me asrar ba jaan sha”
“Ae Asgraf iss duniyavi takht ko chhodo , taki aap badshah aur Allah ke faqeer dost ban jaaye.”
Aap 6 mahine ka safar karke Bukhara se hote hue wo ooch sharif,multan pahuche jahan unhone Hazrat Makhdum Jalaluddeen rahamatullaah alaih se mulakat ki
jahan unhone aapka istaqbal kiya aur aapko roohani fazlo karam se nawaza.
Fir aapne Makhdum Jalaluddeen se izazat mangi aur apni manzil ki taraf ravana ho gaye
“Azmat daar raah maqsood har giz, Nabyaad karad baarsi badargaah”
“kisi ko raaste me nahi rahna chaiye, Taki koi jald hi manzil tak pahuch sake.”
Kuch din aur raat qayam karke aap pandwa ke liye ravana ho gaye aur Lahore pahuch kar Hazrat Data Ganj Baksh ke mazar par Hazir hue aur roohani rahnumai bhi hasil ki.
Waha se aap delhi aaye aur waha aap Hazrat Qutubuddeen Bakhtiyar Kaki rahamatullaah alaih ki mazar par aur Hazrat Nizamuddeen Auliya ki mazar par haziri di aur roohani faiz hasil kiya.
Paandwa sharif me istaqbal:-
Hazrat Shaikh Alauddin wal haq paandwi ki rohani kashish esi thi ke wo zyada der tak kisi jagah thaharne ki bajaye apne maqsood muqaddas tak pahuchne ke liye apna safar jaari rakhe.
Bade daryaao aur pahado aur sahraao se guzarte hue aur raaste me har mushkil ka saamna karte hue wo bihar pahuche.
wo tezi se bihar se guzarte hue bangal ki taraf ravana ho gaye kynki peero murshid ki tawajjo ki wajah se wo bechain the.
Jab aap paandwa sharif ke kareeb pahuche to Hazrat Alaulhaq uth kar khade ho gaye aur dodh kar bahar aakar khade ho gaye aur ek doli lekar apne khadimo ke sath unke istaqbal ke liye chal diye.
Sheikh Alaulhaq ki itni bechani dekhkar aapke khadimo ko Hazrat Makhdum Ashraf ki gair mamuli hasiyat ka pata chala.
Hazrat Makhdum Ashraf ne jis maqsad ke liye takhte samnan ko chhoda ab wo poora hone wala tha.
Jab Hazrat sheikh Alaulhaq rahamatullaah alaih ne unhe aate hue dekha to aankhon me aansu aa gaye aur jab kareeb pahuch gaye to dono aapas me gale mile .
“Chi kashi bashaad bad ki eez indarazi, Ba auhayad raasad aumeed weyad.”
“kitna achcha hai ke taveel intezaar ke baad,Ummeed mando ko apni manzil tak pahucha deta hai”
Pandwa ke uss ilake se Hazrat Makhdum Samnani doli me baithe hue apne sheikh ki khanqaah ke liye ravana hue.
Hazrat Makhdum samnani doli ke niche rakhne se pahle hi kud kar apne sheikh ki tazeem ke liye darwaze par jakar khade ho gaye.
Fir ander pahuch kar dastarkhan bichhaya gaya aur khana tanavul farmaya.Un tamam rasumat ke baad Sheikh alaulhaq pandwi ne unhe chishtiya aur nizamiya ke silsile me apna shagird bana liya unhe khilafat bhi dedi.
Hazrat Makhdum Ashraf shagird banne ke baad bade khush the kyunki unhe wo chiz mil gai thi jiske liye unhe itna taweel intezaar karna pada tha.
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Paandwa sharif se ravangi:-
Ek din jab hazrat makhdum ashraf ki umr mubarak 31 saal hui to aapke murshid ne socha ki syed makhdum ko koi laqab diya jaaye to
isha ki namaz ke baad jahangeer ki awaaze aane lagi usi din se aapko ye laqab diya gaya.
Jab Sheikh ki sohbat me 6 saal guzre to uss arse ke doran unhe irfaan aur roohaniyat ke tamam raazo ke ezaz se mansub kiya gaya.
ek din hazrat alaulhaq paandwi ne unse kaha ki ae ashraf maine aap par tamam haqaiq aur ilm ko mukammal kiya hai main aapke liye ek jagah pasand karta hu jahan aapko aqliyat aur islah ke chirag ko roshan karna hoga.
ye sun kar aapki aankhein bhar aaye kyunki wo apne sheikh se judai pasand nahi karte the.
lihaza sirf judai ki baat hi unke liye nakabile bardasht thi.unke sheikh ne unke liye kichhocha sharif ko pasand kiya.
Wo sheikh se izazat lene ke baad kichhocha ke liye ravana ho gaye.
Wo kuch din ke liye jonpur me rahe jaha sultan Ibrahim shah sharqi aur qazi shahabuddeen daulatunki azmat aur roohani aur kirdaar ki paakizgi ko dekhne ke liye unse bahut mutasir hue.
waha se wo safar karte hue kichhocha sharif me pahuche.
Mazhabi aur deeni khidmat:-
Ye ek kubool shuda haqiqat hai ke irfan islam ne har dor me islam ke maqsad ke liye giran kadr khidmaat anjaam di hai.
mazhabi aur adbi khidmaat jo Hazrat Makhdum Samnani ne anjam di hai.
aam tor par tasawwuf ki tareekh ka sunahra baab hai.unhne kichhocha sharif me kufr ke andhere me islah aur roohaniyat ki shama roshan ki aur gumrah logo ko raah e raast par lagaya.
rivayat hai ke 12 hazar gair muslimo ne islam ko unke kirdar ki paakeezgi aur roohaniyat se mutasir hokar qabool kiya.
Hazrat nizami yamani ne apni kitab “lateef-e-ashrafi”me likha hai ki wo jaha bhi jaate uss ilake ki boli me roohani takreer farmate aur uss boli me 4 kitabe likhte aur unn kitabo ko unke fayde ke liye wahi chhod dete.
Hazrat Syed Makhdum Ashraf ki likhi hui kitabe :-
1· Kanzul asrar
2· Lateefe ashrafi
3· Maqtubaate ashrafi
4· Shiri sikandar nama
5· Sherul asrar
6· Deewane ashraf
7· Basharat-ul-murideen
8· Naaahvi ashrafiya
9· Risala vahdul wajud
10· Irshad-ul-akhwaan
11· Tafseer nor bakhya
12· Fatawa ashrafiya
13· Bashrat-ul-akhwan
14· Fawayade islam
15· Bahrul zikr
16· Ashrafi insaf
inke alawa bhi bahut si kutub likhi hai.
Hazrat Mahbub-e-yazdani makhdoom Ashraf simnani:-
Hazrat sultan syed makhdum ashraf Jahangir samnani ne mahbubiyat ka darja paya.ye mahbube yazdani 27 ramzan 782 hijri ko roohe aabad me apne shagirdo ke sath shamil the,
achanak har goshe se ek awaz aani shuru ho gai”Ashraf Mera Mahbub”.
ye asmani awaz thi,mahbibuyat ke darje ki khushkhabri thi.tab se unhe mahbube yazdani kaha jane laga.
ye sultan syed makhdum ashraf ki roohaniyat thi.jahangir samnani har fajr ji namaz masjide haram me padha karte the.
jis din aapko ye roohani ezaz ata kiya gaya Hazat Nizamuddeen asfahani haram me me mojud the,
kabe me subah ki namaz padhne aaye sultan samnani ko dekh kar unse kaha ki aao mahbube yazdani,
allah ka diya hua ye laqab aapko naseeb ho.
Gous-ul-alam aur Jahangir:-
Ye ek tareekhi haqiqat hai ki Hazrat sultan syed makhdum ashraf ko pahli rajab 770 ko hazrat banda nawaz gesu daraj ki khanqaah se gous ke waqar se nawaza gaya tha.
lihaza aapko jab se gous-ul alam kaha jata hai.unke naam ke sath Jahangir ka laqab bhi bahut mashur hai.
ek din wo shagirdo me apne sheikh ke sath khanqaah me baithe hue the.
achanak khanqaah ke darwazo aur deewaro se jahagir ki awaaze aane lagi.
ye sun hazrat sheikh alaulhaq muraqba me magn ho gaye aur thodi der baad sar uthaya aur unhe Jahangir ke laqab se nawaza kynuki ye ek asmani laqab tha jiski tasdeek unke sheikh ne ki.
Hazrat Makhdum Ashraf Jahangir Rahmatulah ke kuch irshadaat:-
1· ilm chamakta hua suraj hai aur maharat uski kirne hai.Iman aur tauheed ke baad insan par shariyat aur aqwaale haqayaq jaanna wajib hai.
2· Hairat zada aadmi dubti kashti ki tarah hai jo khud dub jata hai aur dusro ko bhi garq kar deta hai.
3· Najayaz aqidatmand shaitan ka pairokar hone ki hasiyat se ilm hasil karta hai.
4· iss baat ko yakeen banao ki khalis ilm hi aapki madad nahi kar sakta.
5. Kisi bhi muqaddas insane ki kisi bhi lafz ko yaad kare agar esa mumkin na ho to uske naam ko yaad kare aapko faayeda hoga.
6· Janna shariyat hai aur ilm ke mutalliq amal karna tariqat hai aur dono ke maqasid ko hasil karna hi haqiqat hai,wo jo tarikat me shariyat ki pairvi nhi karta tariqat ke faayde se mahrum hai.
7· Wo shaksh jo shariyat ka sakht pairokaar hoga ,tariqat ka raasta khud ba khud uske liye khul jayega aur jab wo shariyat ke sath tariqat hasil kar leta hai to haq ki ronak roshan ho jati hai.
8· Sulook mein agar koi Huzoor Akram ki ita-at ke raaste zara bhi inharaf karta hai to matluba manzil tak pahuchna na-mumkin ho jata hai.
9· Ghulam ke dilo me allah ki muhabbat aur pyar paida karna aur unke dilo ko allah ki qurbat me mail karna,mashaikhe tariqat ka kaam hai.
10· Sheikh bilkul ek kabil aur tajurbe kaar mualij ki tarah hai jo mareej ki bimari aur mizaz ke liye mojuz dawa ki takhsis karta hai.
11· Khana uss beej ki tarah hai jo salik ke pait ki zami me apni jadein daalta hai,aur amal ka darakht ugata hai,agar khana halal hai to achche amal ka darakht ugta hai aur agar ye haram hai to nafarmani aur gunah ka darakht ugta hai.
12· Faraizo wajibat adaa karne ke baad roohaniyat aur matlashi afrad ke liye zaruri hai ke wo apne keemti zindagi ko muqaddas afrad ki sohbat me guzaare kyunki ese afrad se sirf ek mulakat itna mufeed hai jo bahut saare jahilo se hasil nahi ho sakta.
13· Ek banda dua kare aur raham kare to ye kabil raham hai,kisi ko apni dua me itna mashgool hona chaiye ki wo apne wajood ko bhul jaaye.
14· Wali ki ek shart hai ke wo apne kalam,amal aur aqeeda me Nabi-e-akram ki sunnat ka pairo kaar hona chaiye.
15· Wali ki shart ye hai wo jahil nhi hona chahiye,auliya allah ki bargaah ke wajeer hai aur allah ki khwahishat ke mutaliq kaam karte hai.
makhdoom ashraf kichocha sharif, मखदूम अशरफ किछौछा शरीफ, makhdoom ashraf kichocha sharif ki qawali, makhdoom ashraf kichocha sharif ka waqia, makhdoom ashraf kichocha sharif qawwali, makhdoom ashraf kichocha sharif video, makhdoom ashraf kichocha sharif video qawwali, hazrat makhdoom ashraf kichocha sharif, infomgm, urs makhdoom ashraf 2021 date 07/09/2021 07 SEPTEMBER 2021
Khulafa-e-Makhdum Ashraf Samnani:-
1· Hazrat syed abdur razzaq noorul aein rahamatullaah alaih
2· Sheikh kabeer ul abshi rahamatullaah alaih
3· Sheikh daruyatam sarurpuri rahamatullaah alaih
4· Sheikh shamsuddeen faryad raas audahdi rahamatullaah alaih
5· Sheikh usman rahamatullaah alaih
6· Sheikh suleman muhaddis rahamatullaah alaih
7· Sheikh maroof rahamatullaah alaih
8· Sheikh ahmad qatal rahamatullaah alaih
9· Sheikh ruqnuddeen shahbaaz rahamatullaah alaih
10· Sheikh qayamuddeen rahamatullaah alaih
11· Sheikh asiluddeen rahamatullaah alaih
12· Sheikh jamiluddeen rahamatullaah alaih
13· Molana qazazi hazaal rahamatullaah alaih
14· Sheikh arif makrani rahamatullaah alaih
15· Sheikh abul karam khujandi rahamatullaah alaih
16· Sheikh abul karam haarvi rahamatullaah alaih
17· Sheikh safiuddeen rodulvi rahamatullaah alaih
18· Sheikh samiyeen rodulvi rahamatullaah alaih
19· Mola kareem rahamatullaah alaih
20· Sheikh kheruddeen sadhhuri rahamatullaah alaih
21· Qazi Muhammad sadhhuri rahamatullaah alaih
22· Qazi abu Muhammad rahamatullaah alaih
23· Molana abul mujaffar lakhnavi rahamatullaah alaih
24· Alimuddeen jeisi rahamatullaah alaih
25· Shekh kamal jeisi rahamatullaah alaih
26· Syed abdul wahhab rahamatullaah alaih
27· Syed raza rahamatullaah alaih
28· Jamshed baig kalander turq rahamatullaah alaih
29· Qazi shahabuddeen daulat abadi rahamatullaah alaih
30· Molana haji fakhruddeen jonpuri rahamatullaah alaih
31· Molana sheikh dawud rahamatullaah alaih
32· Molana ruqnuddeen rahamatullaah alaih
33· Sheikh adam usman rahamatullaah alaih
34· Sheikh tajuddeen rahamatullaah alaih
35· Sheikh nurudddeen rahamatullaah alaih
36· Sheikh ul islam abad gujar rahamatullaah alaih
37· Sheikh Mubarak gujar rahamatullaah alaih
38· Sheikh haseen dausvi rahamatullaah alaih
39· Sheikh safiuddeen rahamatullaah alaih
40· Masnad ali saif khan rahamatullaah alaih
41· Sheikh ahmad kanulori rahamatullaah alaih
42· Molana Abdullah diyar banarasi rahamatullaah alaih
43· Molana nuruddeen zafrabadi rahamatullaah alaih
44· Mulk Mahmud baba hussain qutubdar rahamatullaah alaih
45· Syed hasan alam baradah rahamatullaah alaih
46· Sheikh jamaluddeen rawat rahamatullaah alaih
47· Hassam uddeen zanjani panvi rahamatullaah alaih
48· Molana khagi Muhammad rahamatullaah alaih
49· Sheikh abu bakr rahamatullaah alaih
50· Sheikh safiuddeen alveoli rahamatullaah alaih
51· Syed ali lahori rahamatullaah alaih
52· Sheikh lodhan rahamatullaah alaih
53· Shekh nizamuddeen barelvi rahamatullaah alaih
54· Sheikh ali dosti samnani rahamatullaah alaih
55· Sheikh amnar rahamatullaah alaih
56· Sheikh abu saeed khagri rahamatullaah alaih
57· Khwaja abdul rahman rahamatullaah alaih
58· Khwaja saduddeen Khalid rahamatullaah alaih
59· Qazi sodha audhi rahamatullaah alaih
60· Sheikh zahid nor rahamatullaah alaih
61· Sheikh peer ali arlat turqi rahamatullaah alaih
62· Sheikh nizamuddeen labar rahamatullaah alaih
63· Sheikh ali samnani rahamatullaah alaih
64· Sheikh gaus ali rahamatullaah alaih
65· Sheikh taqiuddeen rahamatullaah alaih
66· Molana sharifullah rahamatullaah alaih
67· Sheikh nizamuddeen rahamatullaah alaih
68· Sheikh yahya kaldar rahamatullaah alaih
69· Sheikh meer mola rahamatullaah alaih
70· Qazi baig rahamatullaah alaih
71· Sheikh qutubuddeen yahya rahamatullaah alaih
72· Khwaja nizamuddeen aol rahamatullaah alaih
73· Sheikh muhiuddeen rahamatullaah alaih
74· Amir nangar qali rahamatullaah alaih
Hindustan me unka mission:-
Ye ek tarikhi haqiqat hai ki hazrat syed sultan makhdum ashraf Jahangir samnani r.a ne apne sheikh ke marqaz kichhocha sharif aur apne sheikh hazrat alaulhaq paandwi ki ittala par rahnumai ki,
wo yaha aaaye aur khanqaahe ashrafiya ko tameer kiya .unhone do masjido ki tameer bhi ki ,
ek masjid khawateen ke liye aur dusri masjid mardo ke liye.aur apne niji kamre me ek maqbara banwaya.
uss waqt kichhocha sharif me sadhu aur jogi aabad the
.chunache kufr ke andhere ne uss ilake ko apne lapet me le liya tha ,
isliye aapko waha par islam ki shama roshan karne me bahut si mushkilat ka saamna karna pada.lekin apke kirdar aur roohaniyat ki pakeezgi jo ek sufi ki khususiyaat hoti hai ,
usne gair muslimo ko magloob kar diya .aur mukhtasar arse me lakho kafiro ne islam kabool kar liya aur silsilaye ashrafiya me aa gaye.
mukhtasar ye hai ki islam aur tasawwuf ke liye unki khidmaat bila shuba islam ki tareekh me bahut ehmiyat aur ek aham mukaam ki hamil hai.
Aap har saal haj farmate or madina munawwara me hazir hote aur tab tak tak nhi jaate jab tak allah ke rasool se izazat nhi le lete.
uske baad aap yemen aur kai or mumalik me bahut se allah ke waliyo ke sath saalo guzare.
Fir waha se aap dobara apne murshid ke paas aa gaye.
Aap apne bhanje Hazrat Abdur Razzaq Noorul ain ko quran ki tarbiyat dene lage.
Hazrat syed makhdum ashraf ko apne bhanje abdur razzaq se badi muhabbat thi or aap hi ne unhe noorul ain ka laqab ataa farmaya.
Hazrat Syed Makhdum Ashraf apne bahnje ki tarbiyat ke baad unki shadi ki fiqr hone lagi to aapne unka nikah ek syed gharane me kar diya.
Aapki hi ki nasl se silsilye ashrafi jaari hua jo aaj poori duniya me phaila hua hai.
Karamate:-
Hazrat sultan syed makhdum ashraf Jahangir samnani tasawwuf aur roohaniyat ki ek esi aala hasiyat par the ke mukhtalif aukat par mukhtalif makaamat par be-hisab karamate tareekh ke saf-aat par bikhri hui hai.
ye ek nakabil tardeed haqeeqat hai ke unki zindagi ka har lamha karamat par mabni ,mutasir kun aur asar angez tha .
Ek baar jab wo ameer tameer ke ilake me safar kar rahe the to unko dekhne ke liye ek aadmi behad mohaq ho gaya aur unke baar me intahai ehtaram ka izhar kiya.
Hazrat makhdum samnani ke sath wo pahad par chadh gaya .to uss aadmi ne hazrat se kaha ke jaha tak aapki nazar jaati hai
,main aapke nazdeek aane wale tamam ilako ko aapko tohfe me de dunga,hazrat ne kaha ki aap meri nazar me aane waale ilako ke malik nahi hai,fir hazrat ne uske sar par apna hath rakha aur pucha ki wo kya dekh raha hai
,to uss aadmi ne afsos aur nadamat ke sath jawab diya ke main makka mukarrama aur madina munawwar ko dekh raha hu .
Ek din aap damishq ki masjid me baithe hue ibadat kar rahe the ki achanak ek aurat apne mare hue bete ko lakar masjid ke darwaze par lakar rakh deti hai or zor zor se rone lagti hai to
aap bahar tashreef lakar uss bachche se kahte hai ki uth ja teri maa tere liye mari ja rahi hai to wo bachcha uth kar khada ho jata hai.
aapki iss karamat se waha bahut charcha ho gaya or fir aap waha se chal diye.aap ek jagah zyada waqt tak nahi rukte the.
Ek din aap apne peero murshid ki bargah se aa rahe hai raaste me ek maqam padta hai zafraabad aur aapke sath aapke ek mureed hazrat gulkhani hai.
unhe raaste me ek khubsurat murti nazar aa jati hai or wo wahi ruk kar uss murti ko dekhne lag jaate hai.
kuch dur chal kar Hazrat Syed Makhdum Ashraf rukte hai aur puchte hai ki gulkhani nazar nahi aa rahe to unke mureed unhe batate hai wo ek murti ko dekhne lage the ,
to apne farmaya ki mujhe bataya kyu nahi chalo wapas unke paas chalte hai.
Waha jakar dekha to Hazrat Gulkhani uss murti ko badi gor se dekh rahe hai ki unhe Syed Makhdum ke paas aane tak ki khabar na hui..
Hazrat ne apna hath unke kandho par rakha jisse wo hosh me aaye or apne murshid ko dekh kar ahsas-e-beadbi hua or rone lage fir maafi mangi to Hazrat ne kaha chalo .Kuch door chal kar Mkhdum paak ne
hazrat gulkhani se farmaya ki ye gulkhani tumhe wo murti bahut pasand hai na to usse jakar kaho ki Makhdum Ashraf ne bulaya hai
,Hazart gulkhani waha jate hai aur uss murti se kahte hai chal tujhe mere murshid ne bulaya hai..itna sunna tha ki wo patthar ki murti ek khubsurat ladki ban jati hai.
jisse makhdum paak ne hazrat gulkhani ka nikah karwate hai aur unse ek nasl chali
jo aaj madras me mojud hai.aur uss nasl ki ye ek nishani hai ki unke hath ki chhoti ungli patthar ki hai.
Hazrat Syed Makhdum paak ki bahut si karamat kitabo me milti hai.
Talimaat:-
Aapki zindagi sufiyana thi aap apni kitab me khud farmate hai ki main sufiya ka mashrab rakhta hu.aapne farmaya ke mere naam jinno or buri ruho ko dur rakhne ke liye bada asar rakhta hai isliye aapke mazar par hamesha ese marizo ki bheed lagi rahti hai jo jinno aur bad ruho se pareshan hai.Aapke zariye silsil-e-ashrafi jari hua jo aaj bhi poori duniya me phaila hua hai aur aapko urdu zabaan ke baani bani bhi kaha jata hai..
Aap hamesha ibadat me mashruf rahte aur zyadatar waqt masjid me guzarte.Raato ko jaagkar ibadat karte aur din me deen ki tablig karteAap sunnat par pabandi se amal karte aur dusro ko taleem dete ki pahle ilm-e-deen hasil karo fir ibadat karo.Aapka faiz aaj bhi poori duniya me faila hua.
Aapne apni qabr mubarak khud banwai aur do din aphle uss qabr me baith kar aapne apne mureedo ki tarbiyat farmai aur apne mureedo ke piche namaz adaa ki or kalma-e-tauheed padhte hue apne rab se ja mile.Aapne 808 hijri me kichhocha sharif me wisal farmaya.har saal 26-29 muharram tak aapka urs-e-mubarak manaya jata hai.
Hazrat Muhaddis-e-azam e hind aapki shaan me irshad farmate hai :-
“Simnan ka takht chhodkar gaus-ul-wara hue,
Yu saltanat ke tarq ne sultan bana diya”
0 टिप्पणियाँ
आपके फीडबैक का हमे इन्तजार रहता है आप सब लोग अपना फीडबैक कमेन्ट के जरिए दें या Contact form या contact us में दे सकते हैं। infomgm